Kaha chale hum Ank I
Mai soch ta hu
Kyoo nahi smajh te matlab log
Tab smajh mae aya kisi ka bhi
Matlab samajhna ho tho
Uska vipreet hona zaroori hai
Ab anyay samajhna ho to
Nyay hona zaruri hai
Par nyay hai kaha
Jo samjhe anayay ko?
Hai Ram..!!
Hai Ram ki tho chita jala di
Chae dashak pahele
Ab jamana hai ghotale ka
Edhar ghotala udhar ghotala
Ghotala hai bhai ghotala
Edhar don udhar don
Sab taraf don hi don
Par tum kon?
Dekh rahe hum ab thak chappan
Encounter ka hai jamana
Under invoice kar aah raha hai maal
VAT laga laga extra kamai karlo
VAT ki topi laga ghoom rahi hai janta janardhan
Stree purush ka sanbandh
Bandha hai sirf vasna ki doorise
Pati ka figure or chalan kuch bhi chalega
Salary chae figure honi chahiye
Fair and lovely lep lagao kundali badlo
Shyamal varni tum to gai
Gori ka hai jamana
Doctorate dhadale say nikle Publish or perish
UGC ka hai farman
Internet jindabad
Edhar kat udhar kat edhar chipka udhar chipka
Hogaya publication tayyar
Wah re professor saab
Science gaya bhad mae
Upmanship ka hai jamana
Kya kya kahu kab thak kahu
Ab hojata hu chup
Samaj sako to samajh lo bhai
Ab ham ko karna hai kuch
K.V. Radhakrishnan